Khoye huye hain khayalon mein unke...
Jinka pata maloom nahin...
Karte hain gujarish in hawaon se le aayen unko...
Jinka pata maloom nahin...
Kabhi hum itrate the in hawaon par
Aaj yeh itraati hain hum par..
Kabhi woh hum se pata poochte the
Aaj hum unse pata poochte hai unka..
Jinka pata maloom nahin...
Sham dhal rahi hai, Shama jal rahi hai...
Madham si hawa bhi chal rahi hai...
Aarzoo hai unke Tasavvur ki...
Jinka pata maloom nahin...
Ab to raat gehraane laagi hai
Shama bhi dhalne lagi hai
Aankhe bhojhil hone lagi hain unke intezaar mein
Jinka pata maloom nahin...
Kehta hoon is waqt se
Kehta hoon is waqt se
Zara tham ja, aur chal palat ke us daur mein
Maloom tha unka pata hamein jis daur mein...
Ke aaj humen unka pata maloom nahin...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment